Aur aaj ... Das baras baad

*Aaj se das bars qabal hum
Bas, kisi be-sabab baat per
Lar paray thay
Khafa hogaye thay
Juda hogaye thay
Zamaana guzarta gaya
Wakt bhi zakhm bharta gaya
Hum idhar se udhar hogaye
Hum udhar se idhar hogaye
Be-khabar hogaye
Naukari saath le kar mujhe
Shehar dar shehar phirti rahi
Zindagi, wakt ki out mein chupp gaee
Barf girti rahi
Daftari kaam barhtay gaye
Khair, phir bhi, kabhi shaam ko
Sair se laut aane ke baad
Aur kabhi, raat ko dair tak jaagnay aur
Likhne likhaane ke baad
Lamha bhar ke leye hi sahi
Mein ussay yaad karta raha
Aur … zamaana guzarta raha

Aaj, jab, das baras baad
Phir, lamha bhar ke leye
Phone per us ki awaaz, mein ne suni
Mein, ussay
Aur tu kuch nahee keh saka
Bas, koi ek nana sa aansoo
Meri aankh se beh saka
Phone ke band hone se pehlay …
*

Re: Aur aaj … Das baras baad

… very sad :teary1::k:

Re: Aur aaj ... Das baras baad

tragic...............:(
waisay achee poem hai...

Re: Aur aaj ... Das baras baad

Em getting blues.. :$

Re: Aur aaj ... Das baras baad

^^ change ur nick to BlueIdentity :D

P.S Nice poem