Aur aahista kijiye baatein, dharakane koi sun raha hoga
Lafz girne na paain honton se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain ye darodivar, raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Aise bolo dil ka afsana,dil suney aur nigah duhraaye
Apne charon taraf ke ye dunya,saans ka shor bhi na sun paaye
Aayiye band karlein darwaaze, raat sapne chura na le jaaye
Koi jhonka hawa ka aawara, dil ki baaton ko uRa na le jaye,
Aaj itne qarib aa jaao ,dooriyon ka kaheen nishaan na rahe
Aise ek dusare me gum ho jayen, faasla koi darmiyan na rah jaye