Last night some folks for iftar at my place were doing this discussion…
14 Aug 2000 year say pehlay jitnay taraanay bunnay thay bun gaey. Aaj kul to kisi artist kay paas time he nahi hai kay Pakistan kay liye kuch keray
Ap log kya sochtay haen, kya ye haqeeqat hai… kya humaray artist aur unka talent sirf indian industry k liye he reh gaya hai. kya hindi filoun kay ganay ga ker wo sakoon unko milta hai jo mulk kay liye contribute ker kay milay… kya paisa he in kay liye sab kuch hai… her nation mein artist ikhathay hotay haen jub koi natural disaster aa jaey, humaray artist kyun nahi aik saath aik platform per kharay ho ker aid jama kerwa saktay haen? unka fashion haraab ho jaey ga, unko maut say daarr lagta hai???
Aakhir kya waja hai, nojawaan nasl kay adakaar aur aam public mein say koi uth ker kyun nahi humaray mulk k liye kuch kerta
Re: Aug 14 year 2000 say pehlay aur year 2000 kay baad!!
aww korn, itni patriotic ho
@topic: i really think even if we had new patriotic songs, wo patriotism ka ehsaas jo puraane tarane aur naghme sun kar milta hai new present-times-made gaano se nahi mil sakta because un partiotic gaano ka mazah hi unki simplicity aur melodies mai hai, aaj kal usually jo gana banta hai, na usme melodious tune, na singer ki awaz hoti hai, na koi meaningful lyrics, bas shor sharaba matlab music aur glamor
Re: Aug 14 year 2000 say pehlay aur year 2000 kay baad!!
then why is the West so successful in conveying their message across the world
isi terha k ganay bajanay, shor sharaba say hum nay to bohut unka culture adopt ker leeya hai..... to phir hum log taraanay kyun nahi buna saktay haen jo aaj kul ki nasl ko feel houn... un mein khub ay watni ka jazbaa paidaa ho agar marr chuka hai to!!!!