atta goondna

atta goondnay kay kya faiday hote hain? Suna hai sehat kay liye acha hota hai? kaise

Re: atta goondna

Janam Ata goondai gi to roti banai gi, aur roti khanai sai sehat banai gi :smokin:

Re: atta goondna

par desi log machine kiyo nahi use kartay? laRkian hamesha in jhuka jhuki style rakh kay atta kiyo goonding always. Ebay par banda aik khareed hi leta hai kay nahi

Re: atta goondna

**Yaar, larki ko ata goondna kabh shru kerdena chaiyai **:smokin:

Re: atta goondna

Jab pehla ata khatam ho jaye…:slight_smile: Waisay yeh aap kiyon pooch rahay hain? Aik baat yaad ayi, meri engagement say aik din pehlay meray chotay bhai jo FSC second year main hai, nay ata goondha thha kiyon keh meray haathon par mehndi lagi howi thhi aur agar main goondhti to woh kharab ho jati. Meray bhai to kabhi kabhi roti bhi paka laytay hain. Aur chaye bananay main to woh masters ahin. Cake to bohat hi zabardast banatay hain. Meri saalgirah par wohi to cake banatay hain. Hay koi un jesa?

Re: atta goondna

umm atta ghondnay kay faide:

  1. Arms ki exersice
  2. Ami Jaan ki help
  3. Roti Banane ka shuruwaat
  4. Gussa nikal ne ka asan tareeka

:) according to me at least

Re: atta goondna

ghussa kaise nikalta hai? paseena bi nikalta hai kya

Re: atta goondna

bajaye doosaron ko maarne ke..aate ko maar lo jitna marna hai :cb: ab depend karta hai ke aanta kon ghoond raha hai..oor kitna zor laga kar ghoondraha hai..albatta mujhe paseena nehi nikal ta :rolleyes:

Re: atta goondna

Yaar agar atai mein paseena aur larki kai lambai lambai baal chalai jayein, to kya roti kharab hojati hai?

Re: atta goondna

depend karta hai kay laRki kon hai.

Re: atta goondna

To agar ghalti sai attai mein cockroach chala jaye, to phir, does it depend on the cockroach? :konfused:

Re: atta goondna

phir depend karta hai kay cocroach nay kiss laRki ka khoon choosa tha last night

Re: atta goondna

:eek: larki achi ho..to tum baal se bhare huwa atta bhi kha lo ge

Re: atta goondna

:yukh:

Ab larkiyan itni bhi andhi naheen hoteen kay atay main cocroach janay dain. Aur hum baal bandh laitay hain jub ata goondhtay hain.

Re: atta goondna

:hehe: mein doc ko bulwati hu…tum sab gaye kaam se

Re: atta goondna

cocroaches khoon bhi chooste hai? :confused:

Re: atta goondna

you didnt’ know that :eek:

Re: atta goondna

no:( and i thought they were my phriends!

Re: atta goondna

desi angel to aur kya wo mcdonalds ka bigmac khaengay kya

Re: atta goondna

nehi mujhe laga wo jo khaane ke bache huwe crumbs khate hai :) u know just like mice