got this in mail today,thought it was quite good,just 4 u guys:
Mayra khaamoosh reh kar bhi unhain sabb kuch suna dayna
Zubaan say kuch na kehna dekha kar aansoo baha dayna
Nash-e-mann hoo na hoo yeh tu falak ka mashghala thehraa
Kay doo tinkay jahan par dekhana bijli giraa dayna
Ijaazat hoo tu kehdoon qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
mujhay kuch tu fasaana yaad hay kuch tum sunadayna
Main mujrim hoon mujhay iqraar hay jurm-e-mohabbat ka
Magar pehlay khataa par ghour kar loo phir sazaa dayna
“ATASH” iss haalat main ponhcha, hasher waalay khud pukaar uthay
Koi faryaad karnay aaraha hay raasta dayna…