Ata hai yad mujhko guzra hua zamana!!

**ata hai yad mujhko guzra hua zmana
wo bagh ki baharen wo sab ka chahchahana

azadyan kahan wo ab apne ghonsle kia
apni khushi se ana apni khushi se jana

lagti hai chot dil per ata hai yad jis dam
shabnam ke ansuon per kalyon ka muskurana

wo pyari pyari surat wo kamni si murat
abad jis ke dam se tha mera ashyana

ati nahi sadayen us ki mere qafs me
hoti meri rehayee aey kaash mere bus me

kia badnasib hun main ghar ko taras raha hun
sathi to hain watan me main qaid me pada hun

ayee bahar kalyan phoolon ki hans rahi hain
mai is andhere ghar me qismat ko ro raha hun

is qaid ka ilahi dukhda kise sunaun
dar hai yehin qafs me main gham se mar na jaun

jab se chaman chuta hai ye hal ho gya hai
dil gham ko kha rha hai gham dil ko kha rha hai

gana ise samjh ker khush hon na sunne wale
dukhe hue dilon ki faryad ye sada hai

azad mujhko kar de o qaid karne wale
mai be zuban hun qaidi tu chorker dua le

Allama Iqbal**

Re: Ata hai yad mujhko guzra hua zamana!!

azad mujhko kar de o qaid karne wale
mai be zuban hun qaidi tu chorker dua le

be_shak!

merii bachpane kii pasandeedah nazam. thanks for sharing. bachpan kii yaad taaza ho gai. :)**
**

Re: Ata hai yad mujhko guzra hua zamana!!

boht aala :k:

Re: Ata hai yad mujhko guzra hua zamana!!

nice. :welcome: to poetry forum

Re: Ata hai yad mujhko guzra hua zamana!!

mene aj perha k ALLAMA OQBAL ki poetry bachon ki book se khatam ker dai gai hy?

Re: Ata hai yad mujhko guzra hua zamana!!

konse Board ne?

Re: Ata hai yad mujhko guzra hua zamana!!

yi to mujy nhai pata punjab ka hi hoga

Re: Ata hai yad mujhko guzra hua zamana!!

:( very touchy poetry

Re: Ata hai yad mujhko guzra hua zamana!!

I think it was “Parinday Key Faryyad” :konfused: