Assorted Cuisine

tayray kahay hoay lafzoon ki raakh kia chayrain
hamaray apnay qalam ki sadaqatain bhi gaeen

jo aaeey jee main pukaroo mujhay, magar hay yoon
keh ous kay saath hi ous ki muhabatain bhi gaaeen

wohi hay dard ka aalam ousay bhula kar bhi
mayray qareeb hi nikla who dour ja kar bhi

es qadar qarz hay mohabbat ka
souchta hoon tou hool uthta hay

esq kay wajibaat kaysay doon
tum nay kia mayray paas choura hay

umr esi tazaad main rizq-e-gubaar ho gaee
jism tha aur azaab thay, aankhain thee aur khawb thay

khoya hay who jaysay haath ki lakeeroon main
aysay apnay haath ko takta rehta hoon

rayza rayza toot chuka hoon andar say
ghar say bahar garden taan kar chalta hoon

khirkeyoon main, kaghazoon main, maiz par
saaray kamray main hay who phayla hooa

raat main es kashmakash main aik pal soya naheen
kal main jab janay laga too ous nay rooka naheen

shabnami aankhoon kay jugnoo, kaanptay hountoon kay phool
aik lamha tha jo Amjad aaj tak guzra naheen

chaand bhi mayree tarah husn shanasa nikla
ous ki dewar pay hayraan khara kab say

aap hi aap bigarta tha, aap man bhi jata tha
ous guraiz pehloo ki yeh ajab aadat thee

ous nay haal poocha too yaad hi na aata tha
kis ko kis say shikwa tha, kis say kia shikayat thee

ay gham-e-esq mayree aank ko pathar karday
hain mayray sar pay tayray aur bhi ehsaan bohat

ous ko bhi lag hi gaee shehar-e-mohabbat ki hawa
woh bhi Amjad hay kaee din say parayshaan bohat

dil nay aik eent say tameer kia taj mahal
too nay ek baat kahee laakh fasanay niklay

Amjad judaeyoon ki yeh tamheed too naheen
Lehjoon main phir malaal sa aaya hoa tou hay

tayray badan ki mehkaar hi na thee too kia roktay
guzar hamara kaee baar youn too ghar say hoa

very nice and thanks for sharing....

wah wah:k::k:
thanks for sharing:~)

Wah.. Zabardast Choice… aab aap mujhe voh site bata hi dain … lolzzzz
Seriously Thanks a lot for sharing such a good stuff :k: