Niaz Bhai,
aap ko yahaan say jaane kee zaroorat nahee.. aap nay buhut see ghalat baatain kee thee, jin kee waja say kaafi public aap kay khilaaf ho gayee.. kisi kaa maksad aap ko yahaan say bhagaana nahee thaa.
Niaz bhai,
dunyaa main kaheen bhee aisaa nahee hotaa kay hur shaks aap kay point-of-view say sochay.. is main emotional honay kee kyaa baat hai?
hum sub aap say pyaar kertay hain.. main aap ko apnay baday bhaiyyon kee tarah samajhtaa hoon.. is forum main sub bhai behen hain.. koi kisi ka dushman nahee.. aap bhee forum kay baki members kee tarah forum ka aik hissaa ho, aap kay messages ko bhee wohi importance dee jaati hai, jo kisi aur kay messages ko. yeh alag baat hai kay aap nay jis tarah kee baatain kee, unhee kee wajah say logon nay aap say ikhtalaaf kiyaa! magar point-of-view kay is ikhtalaaf ka yeh mutlub bilkul nahee kay khudanakhuasta koi aap say nafrat kertaa hai.
is forum main aap nay dekhaa ho ga, kay aik topic main jo log aik dosray kay khilaaf hotay hain, wohi kisi aur topic main aik point of view rakhtay hain! is tarah to hotaa hai.. magar agar kisi ko aap kee baat say ikhtalaaf ho to is ka mutlub nahee kay aap naraaz ho ker hamajn chor kay chalay jao! aap kee is forum main apnee aik jaga hai, aur woh jaga koi aur nahee lay saktaa. aap chalay jao gay to aap kee kami hamaishaa mehsoos ho gee...
jahaan tak aap ka yeh kehna,
"jhoota, kafir, aur pata nahin kia kia kaha gaya"
niaz mere bhai... jo shaks bhee religion kay forum may jaata hai, woh yeh zaroor jaanta hai, kay aap hee ho jo hur kisi ko "kaafir" kehtay ho!
aap ko kisi nay kaafir nahee kahaa... haan aap nay aik fatwaa diyaa tha, jis kee rooh say aap khood kaafir bantay thay! aap ko kafir kaha aap kay fatway nay... aap ko kafir kaha rasoolullah kay is farmaan nay, kahaa jo main nay aap ko dikhaya!
jahaan tak jhoot ka sawaal hai, to woh aap nay bola tha, aur agar na bola hotaa, to aap usee topic main jaa kay saabit kertay!
jahaan tak YA ka sawaal hai, to us topic main discussion almost khatam ho chukee hai, kyoonke aap nay wahaan jhoot bola, jo saabit ho gaya, aur doosra, aap kay paas points khatam ho gaye.
hadith ka jahaan tak sawaal hai, woh farid saab nay aap ko jo jawaab diyaa tha, woh bohot strong hai.. aur aap us ka jawaab nahee day sakay.
jahaan tak "ahmadiyyat" pay discussion ka sawaal hai, aap mere buhut strong points takreebun 2 weeks say lagataar ignore kertay rahe..
aap ulemaa kee baat kertay ho to main nay apnay point ko saabit kernay kay liye imam bokhari, imam malik, imam ibn-e-hazam, hazrat ibn-e-abaas wagheraa kee baatain likhee.. jin kay jawaab main aap nay imam ibn-e-katheer kee tafseer likhee.. tamaam musalman jaantay hain, kay bokhari kitaab-ul-tafseer main hazrat ibneabaas kee jo tafseer main nay aap kay saamnay rakhee thee, woh ibnekatheer kee tafseer per prefer kee jaye gee, kyoonke ibn-e-katheer aur ibne abaas ka koi mukabla nahee!
Islam koran aur hadith nahee hota, kyoonke koran kee hifaazat kee kasam to allah nay khood khayee hai, magar hadith ki hifazat ka zimedaar koi nahee!
magar is silsilay main aap farid bhai ka point dekhain, jinhon nay is baray main buhut achaa likhaa hai!
Haan aik aur baat.. aap doosron ko kaafir kehnay main kabhee na rukay, magar jab aap pur khood hadith nay kufur ka ilzaam lagaya, to aap naraaz ho gaye? yakeenun aap ko is baat ka ehsaas ho gaya ho ga kay aap jub kisi ko kaafir kehtay hain, to us kay dil pay kiyaa guzurtee hai. aap mujhay, ya fatima, ya hamaray sects, ko baar baar kaafir kehtay rahe.. ahmadiyyat wali topics main baar baar aap nay mujhay kaafr kahaa, jo aap wahaan jaa kay dekh saktay hai... magar kyaa main aap kee tarah bhaag gaya? nahee! jab aap khood kisi ko kaafir kaafir kehtay rahe, to kabhee yeh na socha kay kal ko koi mujhay bhee kaafir keh sakta hai? aur aik baat yaad rakho, main nay apnay moon say kabhee kaafir nahee bola aap ko.. hamesha aap ko hadith nay kaafir kahaa, ya aap kay apnay "fitwa" nay!
yeh sub baatain yahaan byaan kernay waali nahee thee, in kay liye appropriate forum hai, magar jab aap nay sawaal uthaaya hee hai to in ka ziker laazmi tha.
meri aap say guzaarish hai, kay aap yeh forum chor kay na jaain!
abhee to aap "shiaism" walee post main ghalat saabit huwe hain.. aur agar insaan say ghaltee ho to usay maan leni chaihiye, is tarah say aik emotional scene create kernay say kyaa faidaa?
aap agar khood ko sacha samajhtay ho, to phir aap waapis aao, aur baat kero. jaatay kyoon ho?
i request you, to return to this forum and continue the discussions from where you have left. we all give you a lot of respect, and we all love you, and we dont want you to leave the forum.
personally i apologize as i realized that i was too rough in my last post in the "shia ism" topic.. and i am exremely sorry for it.
niaz bhai,
please come back!
you are needed!