Aslamaliekum

Re: Aslamaliekum

:wsalam:
Jee janab inlogo ko koi aur kaam nahee, kyuN keh woh sirf yahi tu kertay haiN aur isi baat kay unko paisay bhi miltay haiN, aur fuzool bay fuzool ka nahee maloom, log baRay KHarCHay kertay hain satellite lagwatay haiN, phir jaker logo ko information detay haiN, khasa paicheeda aur GHambeer masala hai.
ChalaiN bohat bohat mubarak aapkay wahaN bhi Khuda Khuda kerkay garmi ka mausim shuru ho raha, yahan bhi aaj qayamat khaiz garmi hai.
haan aur aap nay kuch sunnay kee farmaish kee, ahem ahem, nahee jee aaj kuch mood nahee phir kabhi, zindagi Masha Allah bohat zabardast guzar rahee. Aap sunain aapke taraf sub theek thaak hai nay.
Allah Haafiz