Aslamaliekum

PYARE BACHO ASLAMAALEIKUM…

Ke baad arz hai ke yahaan par sab kharreat hai, or sab ki kharreat Allah tahllah se naik matloob chahti hoon.
Yahaan ke mousaam ne saboon ko bor kiyah huwa, pata nehi garmi kab hoghi, pichle hafte mousam thora gharam huwa tha, yaah ke logon ne samjah ke patha nehi ab kitni garmi pare ghee fatah fat apne kapreh muhtezar kar diyeh, ab ek hafte se barish ho rehi hai, or tempreture bhi kafi kam. Allah pooche in logon se.

Barehaal ajj hum ne palak ghosht banaya or hum ne socha apne nanne se chote se gupi behan bhaion se bhi share karna chahiyeh. so bacho enjoy karo…

Mousam dekh kar dil kar tho garam garam pakoron ka kar rah tha, liekin phir sehi. baraye meharbani koi thore se samose pakore arsal kar deh…

Is ke alawa soorat hal yeh hai ke ek dafa main phir sooch rehi hoon, ke main apni punjabhi film compleate karwa hi loon, leiken darti hoon, pichli dafa kafi nukhsan huwa tha. AYE HAYE main kitne ache ghane likhe the or kya story thee.

Baqayah , ye ke mujeh tum logon ki bari fikar rehti hai, kuch logon ki shadi ki duain bhi manghi theen, koi khaber nehi mili, khair inshallah kabhi tho billi mare ghee.

Bachon ke imtehaan ho reh hain, mujeh laghta ke jaise mera imtehaan ho rah hai, mere sar main daed shoor ho jati hai.

okey, pyareh bacho, ajj ke liyah itna kafi hai, yahn bhi reho, khush reho.

duagho , tumhari baji, Diyah

Re: Aslamaliekum

walikum assalam diyah aunty :wave:

Re: Aslamaliekum

wave to you too

Re: Aslamaliekum

:hula:

Re: Aslamaliekum

yeh hula hula se kaam nehi chale gha mere khat ka jawaab dehna pare gha, apni marzi hai ke english yah urdu.

Re: Aslamaliekum

:wsalam: diyah aunty :slight_smile:

Re: Aslamaliekum

jee fine.. .theek hai.. deta hon :hula:

Re: Aslamaliekum

Walikam salam
jiti rahien khush rahien

Re: Aslamaliekum

thankyou… flower flower smily not available

Re: Aslamaliekum

Welcome
:flower1: smily available

Re: Aslamaliekum

Walikum Assalam Diyah Aunty:

app kaisi hain.. or us kay baad araz karta hon kay yahan par aaj bohat he khobsorat mausam hai, dil chah raha hai kay ghar kay bahar jaa kar car wash karoon. waisay app kon say mulq main hain yahan par summer main bhi summer nahin.

Diyah aunty mujhay Palak Ghosht Bohat he zayada pasand hai.. bohat shukeya share karnay ka.. bohat acha taste hai :yummy:

jee main abhi store jaa kar garam garam pakoray tay samosay lata hon.. bohat he zayada mazah ayee gaa.. or saath saath mango shake … :mudhosh:

waisay mujhay to app nay punjabi movie main liya he nahi.. mujhay bhi moqah dain na.. aik dafa.. promise achi acting karoon gaa main.. Hawwn… :smooth: mujhay punjabi aati to nahi.. lakin main lips move karoon gaa or peechay say Shikra Bhai ke awaaz ho gee :hehe:

app nay mere shadi ke bhi dua mangi thee kya :konfused: waisay wo to abhi tak nahin hoee.. intezaar hai

chalain sar main dard ho to sar dabwa liya karin.. bohat acha feel ho gaa iman say. or waisay bhi sar main dard HOTA hai HOTI nahin hai :smiley:

chalain aj kay liye itna bohat hai.. phir baat ho gee..
sub guppies ko salam.. or duain or bohat sara pyar

Allah Hafiz

Re: Aslamaliekum

^ Diya aunty , Welcome back , yeh rahay phool , thoray kamzoor ho gaye hain,:smiley:
Main bhi ^ shoaib kay saath saath ‘Lunch tasting’ kay kaam per jata houn,:hula:
Main bohat mehnat say kaam kerta houn
aur mau palak ghost :yummy: , nahi arg khata, :blush:
mai bohat ‘Low maintenace’ bunda houn ,

:devil:

Re: Aslamaliekum

:dhimpak: :dhimpak:

Re: Aslamaliekum

:dhimpak: :bravo: :dhimpak:

Re: Aslamaliekum

:wave:

Re: Aslamaliekum

tumhareh liyeh bhi kar loon ghee, inshallah jab waqt aye gha, abhi tum bohat chote ho …
sar dabahne ka shukariya, or rehi film ki baat ecconomic backup mileh gha , tho dekhain ghe. Allah hafiz to you to, nice letter. dard hotah bhi hai or hoti bhi hai, kis bhi urdu daan se pooch lo. Hum Denmark main panse huwe hain.

Re: Aslamaliekum

thankyou, kitne khoobsoorat hain, pani main daalte hain, teek ho jaain ghe.
wo sab theek hai, leiken yeh niche devil ka kya kam hai.

Re: Aslamaliekum

diyaah Aunty :wave:

aap wapis aagayee ho, kidhar gayeen thien?

itna lamba khat likha hai? :smack: mai ne toh parha hi nahin :blush:

Re: Aslamaliekum

-------------cvabn----------
Sorry! yeh yahan bhi a gaya,? :smack2: , Wohhh,:ahaa:,Yeh nanja ka paltoo hai,:smiley: , mai to essay janta bhi nahi,edhar udhar daikhing :rolleyes:

Bad ninja :bailan:

Re: Aslamaliekum

:dixsi: :dixsi: