maloom na tha kay yeh qisa phir say dohraya jaay ga
wo shakus ik baar phir say yoon thukraya jaay ga
khaamosh labon pay thee hansi aur ankhen num
itni si khushi k liye usay har bar rulaya jaay ga
guzarta hua har lamha yeh hi sada deta hai
wo muntazir hain tere, jald tu bulaya jaay ga
andheri raat main aksar yeh sochta hoon
mere baad tou ik chiraag jalaya jaay ga
Asif tu mit bhi jaay tou unhain koi gham nahi
tere bad phir koi aur nishana banaya jaay ga