Mohabbt ! Khud Chali jaey, To illat ka Fasoon kya hai.
Faqat ik Tu jo Reh jaey, To Qillat ka Fasoon kya hai.
Marham ! Waqt Na Bakhshe, To Zakhmo ka Madava kya ?
Hansi pe lab Na Aaey to, Jabillat ka Fasoon kya hai.
Pyalay mai Para ho to, Zehar ki kya Haqiqat hai ?
Na jab tak Khoon me Aaey, To Shiddat ka Fasoon kya hai.
Jo Ashiq ! Khud hi Tore To, Thikana hai Kahan Butt ka ?
Pujari jo Na Apnaey, To Biddat ka Fasoon kya hai.
Qyamat laakh ithlaey, Shabab-e-Naz me Lekin.
Nazar jo Rukh Na Sehlaey, To Hiddat ka Fasoon kya hai.
Khuda ka Khof Na ho to, Haya ka Kya Nishan Baki.
Nikah Takmeel Na Paey, To iDDat ka Fasoon kya hai.
Baras k Sare Mausam to, Bandhe hen aik Kolhoo se.
Husan Na Gul Khilaey jo, To Jiddat ka Fasoon kya hai.
ASHNA ! Toqeer kay Sikkay, Jahan tak ho Kmaey Jaa .
Khuda Na Azmaey So, To Zillat ka Fasoon kya haiā¦!