Ashna-e-Dil bana Na Sakay

**Lamha-e-Hijr ke Baad Aisi Adat Hui Wiraanion ki
Andhero Se Bahir Na Aa Sake, Sar-e-sham Hum Phir Deep Jala Na Sakay

Iss Qadar Mili Tanhaiyaan Ke Apna Saya Bhi Gair Lagnay Laga
Dil Ki Basti Aisay Ujrri Ke Hum Issay Phir Basa Na Sakay

Ussay daikhay Aik Muddat Hui, Uss Se Bichray Ikk Zamaana
Dhoonda Bohat magar Iss Ajnabi Shehar Main Ussay Phir Paa Na Sakay

Uss Ke Siwaa Goya Zindagi Main Kuch Aur Thaa Hi Nahi
Bichraa Woh To Phir Kuch Khoo Na Sakay…Kuch Paa Naa Sakay

Haal-e-dil Hum Bata To Dete…Raaz-e-dil Hum Suna To Dete Magar…
Tumharay Baad Kisi Ko Hum Samjhaa Hi Na Sakay…Ashna-e-Dil bana Na Sakay

Hum Nay Dukhay Dil Ko Bohat Sambhala Aur Dil Nay Hum Ko Bohat
Kal Tanhaa Chaand Deikh to Dil Hamein Na Samjha Saka Aur Hum Dil ko Na Samjha Sakay

Tumhaari Yaad Ko Apni Hur Wabistagi Se Mitta Diya Tha Hamesha Ke Liye
Bass Jab Jab Saans Chali hai…Tab Tab Hum Tumhein Bhulaa Na Sakay…

Aaj Ittafakan Tum Ko Tumhari Majboorion Ke Saath Deikha Farah…
Phir Puraani Yaadein Taaza Huin…Phir Ashk Apnay Hum Chupa Na Sakay… **

wah bahut hi khoob! ZU thanks 4 sharing!

thanks lamhay its my pleasure to see ur comments on my postings
thanks :slight_smile: :flower2:

:mudhosh::mudhosh:

well ap nay tu mujhay aik dam say asmaan par charha dia hai ab aisa bhi na kahiye utarna mushkil hojayega lolzz !

Re: Ashna-e-Dil bana Na Sakay

:teary1:

Wonderful… :flower1:

bus buss umer itna dhuki nahi hoty:nono3:
abhee tumharee sister mojod hay hum tumhary lay US say bhee achee dhond layn gay;)
now smile plzz:hehe:

Re: Ashna-e-Dil bana Na Sakay

Thanks for sharing such a beautiful ghazal with us. I really liked these shaire’s…they are excellent!
thanks :flower1:

Wonderfull.

acha aisi baat hai kiya 9 problem abhi aap ko asmaan se niche uttar dete hien , aap ki post ki hui poetry bilkul bakwas hoti hai aur aap k comments tu aur bhi bure hote hien :frowning: :stuck_out_tongue:

Thanks jass jee :slight_smile:

lekin ye US Kaun hai (United States :nahnah: :mad2:

Re: Re: Ashna-e-Dil bana Na Sakay

Thanks Zidee Dr.
:flower2:

Thanks KN :)
Thanks Swera :)

:rotfl:
lolzzzz thanks janab

:sleep2: :frowning: :frusty:

wah… khoob… :k:

Umar Bhai... Gr8 :biggthumb

[QUOTE]
*Originally posted by Golden_Scorpion: *
Umar Bhai... Gr8 :biggthumb
[/QUOTE]

Thanks GS Bhai :)

sab aap ki meharbani hai :)

Thank AsSweetAs :)

Bohat aala :k::k::k:

Thanks HH :slight_smile: