Ashk ankhoon sey gir gaya hay kahin...!!!!!

[thumb=H]ijazaat4535_8585980.JPG[/thumb]

  **

Ashk ankhoon sey gir gaya hay kahin

Ban key darya utar gaya hay kahin

Ankh pharki jo be sabab to laga

Woh bhi mushkil main ghir gaya hay kahin

Haath rakha jo usnay dil pay meray

Raag holay say Chir gaya hay kahin

Raat jazboon nay lee jo angrai

Lamha lamha nikhar gaya hay kahin

Apni kurbat kay khawab dhikhla kay

Zehar nas nas main bhar gaya hay kahin

Noha gar hay jo kal say ankhien meri

Khwaub rastaay main mar gaya hay kahin…!!!**

Beautiful!

Bahut hi khoobsurat aur pur’assar kalaam hai yeh and yes, the graphic is awesome … :k::k::k:

Khush raha karain Lamhay ji aur koi aisi post bhi kar diya karain ke jis se khushi ka izhaar ho …

Eid ka mauka hai … Udaasi achi nahee lagti Lamhay ji …

Khuda aap ko khush rakhay … Ameen !

buhut khoob

Noha gar hay jo kal say ankhien meri

Khwaub rastaay main mar gaya hay kahin

Thanks ZF ! aisi bhi posting karchukay hain hum , Udaasi ab agar Fitraat main ghul gaye hain Tu kiya karain…udaasi Beywajha tu nahin atii…

Thanks for Ur prayers!!

[QUOTE]
*Originally posted by m kamal: *
buhut khoob

Noha gar hay jo kal say ankhien meri

Khwaub rastaay main mar gaya hay kahin
[/QUOTE]

Thanks M kamal !

[QUOTE]
*Originally posted by HeArT HaCKeR: *
Beautiful!
[/QUOTE]

Shukriya!!


[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

Udaasi ab agar Fitraat main ghul gaye hain Tu kiya karain.......udaasi Beywajha tu nahin atii...........

[/QUOTE]

Lamhay Ji
Aap ka reply parha tu socha yeh choti si magar pur'assar ghazal aap ki thread mein bila-ijaazat post kar doon ... Sorry !


Thakka gaya hai musalsal safar udaasi ka
Aur ab bhi hai mere shaanay pe safar udaasi ka
Woh kaun keemeya gar thaa ke jo bakhair gaya
Tere ghulaam se chehre pe zehar udaasi ka
Mere wajood ke khalwat kaday mein koi tu thaa
Jo rakh gaya hai diya taaq pe udaasi ka
Mein tujh se kaise kahoon yaar-e-meharbaan meray
Ke tu ilaaj nahee meri har udaasi ka
Yeh ab jo aag ka dareyaa mere wujood mein hai
Yehi tu pehlay pehal thaa sharaar udaasi ka
Na jaane aaj kahaan kho gaya sitara-e-shaam
Woh mera dost mera hamsafar udaasi ka
'Faraz' deeda-e-pur-aab mein na dhoond ussay
Ke dil ki teh mein hai gohar udaasi ka ...


bohut khoob lamhay appi .. :k: ..

Ps: where have you been .. :frowning: ..

Thanks Gkk
Yaar main ghar shar ki setting main lagi thee

(New ghar ki) aur doosaray my friend AQ left
tu Gs …!!!

[QUOTE]
*Originally posted by zawanfira: *

Lamhay Ji
Aap ka reply parha tu socha yeh choti si magar pur'assar ghazal aap ki thread mein bila-ijaazat post kar doon ... Sorry !


Thakka gaya hai musalsal safar udaasi ka
Aur ab bhi hai mere shaanay pe safar udaasi ka
Woh kaun keemeya gar thaa ke jo bakhair gaya
Tere ghulaam se chehre pe zehar udaasi ka
Mere wajood ke khalwat kaday mein koi tu thaa
Jo rakh gaya hai diya taaq pe udaasi ka
Mein tujh se kaise kahoon yaar-e-meharbaan meray
Ke tu ilaaj nahee meri har udaasi ka
Yeh ab jo aag ka dareyaa mere wujood mein hai
Yehi tu pehlay pehal thaa sharaar udaasi ka
Na jaane aaj kahaan kho gaya sitara-e-shaam
Woh mera dost mera hamsafar udaasi ka
'Faraz' deeda-e-pur-aab mein na dhoond ussay
Ke dil ki teh mein hai gohar udaasi ka ...


[/QUOTE]

**

Well Arif nawaz Ji i dont mind per Ap kisi k ander ki udaasi Door nahin karsakhtay

Insaan aik baar thokar khata hai tu uskay baad Udaasi uska mehwar banjati hai

aur Mohabbat main gir kar Doobara nahin
utha jasakata hai na woh Muqaam paya jasakata hai woh kehtay hain na
Gaya waqt doobara haath nahin ata
Insaan Pahaar ki choti say Gir kar tu Uth sakhta hai par kisi ki Nazaroon Say Gir kar doobara nahi uth sakhta ............... isi tarhan kisi ko Udaasi or zakhum dey kar
Usko zabardasti nahin hansaya jasakata ...............

**

Very Nice:)