Mera Haq Hai Ke Mujhe Toot Ke Chaaha Jaye
Iss Leay Tujh Se Muhabbat Nahin Mangi Mainay
–
Main Iss Leay Bhi Teri Dosti Se Darti Hoon
Ke Teray Pyaar Ki Fitrat Main Intiqaam Bhi Hai
–
Janay Walay Jab Bhi Jee Chahay Palat Aana Yahaan
Ye Jo Darwaza Khula Hai, Ye Khula Reh Jaye Ga
–
Dekhna Tum Pe Na Ilzaam-e-Muhabbat Aye
Mere Nazdeek Buhat Soch Samajh Ker Rehna
–
Ay Zindagi Ye Kaam, Faqat Kaam Kab Talak
Itna To Waqt De Ke Usay Yaad Ker Sakoon
–
Tumharay Haath Se Nikloon To Bekas-o-Majboor
Tumharay Haath Main Aaun To Ikhtiaar Hoon Main
(Rehana Qamar)