Ashaar mere yun to zamaane ke liye hain
Kuchh sher fakat unko sunane ke liye hain
Ab ye bhi nahin thik ki har dard mita dein
Kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain
Aankhon mein jo bhar loge to kaanto se chubhenge
Ye khwaab to palkon pe sajaane ke liye hain
Dekhun jo tere haathon ko lagta hai tere haath
Mandir mein fakat deep jalane ke liye hain
Socho to badi cheez hai tahzeeb badan ki
Warna to badan aag bujhane ke liye hain