**
AsGhar Husain “AsGhar” GoNDVii kii Ghazal**
**1.
aalaam-e-roz_gaar ko aasaaN banaa diyaa
jo Gham huaa use Gham-e-janaaN banaa diyaa
maiN kaam_yaab-e-diid bhii, meHruum-e-diid bhii
jalvoN ke azdahaam ne HairaaN banaa diyaa
ham us nigaah-e-naaz ko samjhe the neshtar
tum ne to muskuraa ke rag-e-jaaN banaa diyaa
yuuN muskuraaye jaan sii kaliyoN meN paR gaii
yuuN lab_kushaa huye k gulistaaN banaa diyaa
us Husn-e-kaar_o_baar ko mastoN se poochhiye
jisko fareb-e-hosh ne 'asyaaN banaa diyaa
majboorii-e-Hayaat meN raaz-e-Hayaat hai
zindaaN ko maiN ne rauzan-e-zindaaN banaa diyaa
kuchh shorishoN kii nazar huwaa khoon-e-'aashiqaaN
kuchh jam k rah gayaa usay HirmaaN banaa diyaa
bulbul ba_aah-o-naalah o gul mast-e-rang-o-boo
mujh ko shaheed-e-rasm-e-gulistaaN banaa diyaa**
Ali Z. Usmani kii Ghazal
**1.
ab dil ko ham ne banda-e-jaanaaN banaa diyaa
ik kaafir-e-azal ko musalmaaN banaa diyaa
dushvaariyoN ko 'ishq ne aasaaN banaa diyaa
Gham ko suroor, dard ko darmaaN banaa diyaa
us jaaN-fazaa 'etaab ke qurbaan jaaiye
abroo kii har shikan ko rag-e-jaaN banaa diyaa
barq-e-jamaal-e-yaar! yeh jalva hai yaa Hijaab
chashm-e-adaa_shinaas ko HairaaN banaa diyaa
ai zauq-e-justuju! tirii himmat pe aafriiN
manzil ko har qadam pe gurezaaN banaa diyaa
uThii thii bai’Hr-e-Husn se ik mauj-e-be_qaraar
fitrat ne usko paikar-e-insaaN banaa diyaa
ai soz-e-naa_tamaam! kahaaN jaaye ab :Khaleel: [a.s.]
aatish_kade ko bhii to gulistaaN banaa diyaa
vaa_raftagaan-e-shauq ko kia dai’r kia Haram
jis dar pe dii sadaa, dar-e-jaanaaN banaa diyaa
aaNsoo kii kia bisaat, magar josh-e-'ishq ne
qatre ko mauj, mauj ko tuufaaN banaa diyaa
kia ek maiN hii maiN huuN is aaiina_Khaana meN
mujhko to kashf-e-raaz ne HairaaN banaa diyaa**
shukria