Asar hua nahin uss par abhi zamane ka (Parveen Shakir)

Hawa e Tazaa main phir jism o jaan fasaane ka
Dareecha kholen ke hai waqt uske aane ka

**Asar hua nahin uss par abhi zamane ka
yeh khwab zaad hai kirdaar kis fasaane ka

Kabhi kabhi wo hamen be sabab bhi milta hai
Asar hua nahin uss par abhi zamane ka
**
Abhi main ek mahaz e digar pe uljhi hoon
chuna hai waqt ye kia mujhko aazmaane ka

Kuch istarh ka pur israar hai tere lehja
ke jaise raaz kusha ho kisi khazane ka

Re: Asar hua nahin uss par abhi zamane ka (Parveen Shakir)

lajawab :k: