Asaatiza ka Kalaam

Re: Asaatiza ka Kalaam

Re: Asaatiza ka Kalaam

http://i43.tinypic.com/nf4lzp.jpg

Re: Asaatiza ka Kalaam

Re: Asaatiza ka Kalaam

Re: Asaatiza ka Kalaam

http://www.jawabarz.com/images/haider-ali-aatish/haider-ali-aatish-qata.jpg

Re: Asaatiza ka Kalaam

Re: Asaatiza ka Kalaam

http://img487.imageshack.us/img487/2408/noon1en6.gif

Re: Asaatiza ka Kalaam

AsGhar GinDvii kii yeh muKhtasir magar jaam’e Ghazal pesh-e-Khidmat hai, mulaaHizah farmaaiye:

teesre she’r ko ek aur andaaz meN ek dusrii Ghazal meN yuN farmaayaa hai:
**
maiN kaamiyaab-e-deed bhii, maHroom-e-deed bhii
jalvoN ke aZdahaam ne HairaaN banaa diyaa! **


Restored attachments:

Re: Asaatiza ka Kalaam

Asghar Gondvi agar kuch aur na likhte tab bhi unka ye shair unke baRe shayar hone ki sanad hota:

Chala Jata hoon Hansta Khailta Mauj-e-Hawadis say.
Agar Assanian hon to zindagi dushwar ho jaye

Re: Asaatiza ka Kalaam

http://www.jawabarz.com/images/meer-dard/meer-dard.jpg

Re: Asaatiza ka Kalaam

http://www.jawabarz.com/images/meer-dard/meer-dard-shairy.jpg

Re: Asaatiza ka Kalaam

http://www.jawabarz.com/images/meer-dard/meer-dard-ghazals.jpg

Re: Asaatiza ka Kalaam

http://www.jawabarz.com/images/meer-dard/meer-dard-sher.jpg

Re: Asaatiza ka Kalaam

Asghar Goondvi


Restored attachments:

Re: Asaatiza ka Kalaam

ye wohi behar nahin.. Zahid ne mera haasil iman nahin dekha?

Re: Asaatiza ka Kalaam

kia matlab??

Re: Asaatiza ka Kalaam

matlab shayar ek hai, aur do ghazlen ek hi style main likhi hui hain. pehle to main aap ki post ki hui Ghazal main 'Zahid ne mera hasil e iman' wali line dhoondta raha

Re: Asaatiza ka Kalaam


yeh vohii Ghazal hai magar iskaa matl'a-e-oolaa Abida Parveen ne na jaane kiuN hazaf kar diyaa thaa jiskii jagah Hindii kaa ek dohaa paRhaa thaa.

Re: Asaatiza ka Kalaam

iss Ghazal ke matle bhi to do hain.... pehle do ashaar main charon misre hum qafiya hain

Re: Asaatiza ka Kalaam


bajaa farmaayaa. duusre misr'e meN 'to' izaafii hai.

is she'r kii ek apnii taareeKh hai. huaa kuchh yuN thaa k AsGhar saaHab kii jawaaN saal beTii vabaa e Haiza kaa shikaar ho gaii thiiN jisnkii 'ayaadat ke silsile se aHbaab mausoof ke daulat kada pe Haazir huye. un aHbaab kii tavaaz'o vaise hii huii jaise pahle huaa kartii thiiN qat'a nazar isse k guzishta roz hii unke ghar aisaa saaniHa pesh aayaa thaa. aHbaab ne jab ta'ziiyatii kalimaat pesh kiye to AsGhar saaHab jo ek nihaayat deendaar aur muttaqii insaan the farmaayaa k:

"merii beTii Allah kaa diyaa huaa ek toHfa thii jo mere paas rahii magar Allah ne use apne paas bulaa liyaa to is meN gilaa yaa ranj o malaal kii kia baat hai? ham sabhii ko apne Rabb-e-Haqiiqii ke paas aage peechhe jaanaa hai. razaa-e-Ilaahii ke aage sar-e-tasleem Kham kar denaa bhii ai'n-e-'ibaadat hai".

phir ba'd az aaN, yeh do ash'aar paRhe:
**
chalaa jaataa huN haNstaa, kheltaa mauj-e-Hawaadis se
agar aasaaniyaaN hoN, zindagii dushwaar ho jaaye**

aur
**
aalaam-e-roz_gaar ko aasaaN banaa diyaa
jo Gham huaa use Gham-e-jaanaaN banaa diyaa**

aise hote haiN Allah ke nek bande! :)