Re: Asaatiza ka Kalaam
bajaa farmaayaa. duusre misr’e meN ‘to’ izaafii hai.
is she’r kii ek apnii taareeKh hai. huaa kuchh yuN thaa k AsGhar saaHab kii jawaaN saal beTii vabaa e Haiza kaa shikaar ho gaii thiiN jisnkii 'ayaadat ke silsile se aHbaab mausoof ke daulat kada pe Haazir huye. un aHbaab kii tavaaz’o vaise hii huii jaise pahle huaa kartii thiiN qat’a nazar isse k guzishta roz hii unke ghar aisaa saaniHa pesh aayaa thaa. aHbaab ne jab ta’ziiyatii kalimaat pesh kiye to AsGhar saaHab jo ek nihaayat deendaar aur muttaqii insaan the farmaayaa k:
“merii beTii Allah kaa diyaa huaa ek toHfa thii jo mere paas rahii magar Allah ne use apne paas bulaa liyaa to is meN gilaa yaa ranj o malaal kii kia baat hai? ham sabhii ko apne Rabb-e-Haqiiqii ke paas aage peechhe jaanaa hai. razaa-e-Ilaahii ke aage sar-e-tasleem Kham kar denaa bhii ai’n-e-'ibaadat hai”.
phir ba’d az aaN, yeh do ash’aar paRhe:
**
chalaa jaataa huN haNstaa, kheltaa mauj-e-Hawaadis se
agar aasaaniyaaN hoN, zindagii dushwaar ho jaaye**
aur
**
aalaam-e-roz_gaar ko aasaaN banaa diyaa
jo Gham huaa use Gham-e-jaanaaN banaa diyaa**
aise hote haiN Allah ke nek bande! ![]()