titlion kay mosam mein nochna gulabon ka, reeet is nagar ki hay or janay kab se hay
dekh kar parindon ko bandhna nishano ka, reet is nagar ki hay or janay kab se hay
shaher kay ye bashinday nafraton ko bo ke bhi intizar kartay hein, fasl ho mohabat ki
bhol kar haqeeqat ko, dhoondna sarabon ka, reet is nagar ki hay or janay kab se hay
tum abhi naye ho na, isi liay pareshan ho, asman ki janib is tarah mat dekho
aafatein jab aani hoon, totna sitaron ka,reet is nagar ki hay or janay kab se hay
ajnabi fizaon mein,ajnabi musafir se, apnay har ta’luq ko daimi samajh lena…
or jab bichar jana to mangna duaon ka, reet is nagar ki hay or janay kab se hay
khamshi mera shaiva, guftago hunar us ka, meri bay-gunahi ko log kaisay manein gay
baat baat pe jabke, mangna hawalon ka, reet is nagar ki hay or janay kab se hay
[This message has been edited by mudi (edited January 21, 2002).]