Bichar k bhi mujhay tujh se ye bad’gumaani hai
K meri yaad kabhi to tujhay bhi aani hai
Na paoch haal kisi bhi udaas chehray ka
Har aik shakhs ki apni alag kahani hai
Parhay likhon se bhi chehray parhay nahi jaatay
Jadeed loag hen lekin nazar puraani hai
Har aik shakhs ko apna bana k dekh liya
Milen gay ab na kisi se ye dil mein thaani hai
Shajar udaas hen, chiryon k cheh’chahay gumsum
K tere baad ye tanha c zindagani hai
Na dosti hai seher se, na dushmani shab se
Yonhi ye zindagi ab to HASAN nibhaani hai