Re: Arz Keeya Hai…
ab kis terha is tanhai ko baantaen hum,
na tu raha na he tera saaya…
bandh darwazoun pay log roz dastak deeya nahi kertay
bandh aankhoun say roz sawaal keeya nahi ja sakta!!!
ab kis terha is tanhai ko baantaen hum,
na tu aey ga na teri awaz ab in deewaroun mein goonjay gi…
bandh kitaaboun ka koi mazmoun nahi bata sakta
bandh hontoun say koi gawaahi nahi di jaati!!!
ab kis terha is tanhai ko baataen hum,
na tu raha na he tera saaya…