dhoondtay reh gaey us raat kay fasanay hum
gar itna na huwa tum say kay loat kay a jatay
kis qadr tanhai hai is mor pay teray bina
her saans mein meri teray naam ki garmi hai
ye jo yaadaen haen teri, bunkay deeya jalati houn mein
her ahut pay saans ubharti hai per tum nahi atay
zikr tera sunti houn mehfiloun may ab mein
jaam bun jaoun un hontoun ka jo karay tareef teri
ankh sard hoti hai to karaar aata hai dil ko
teri yaad jub is dil ko cheer kay nikal jati hai!!!