Array Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha........

**Array Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha…
Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hi Na Chalna Tha…

Kuch Is Lye Bhi Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hei,
Pahaarrion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha…

Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir…
Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee’n Mein Palnaa Tha…

Ye Keya Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayien,
Zameen Ko Yun Bhi Khazaana Kabhi Ugalna Tha…

Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla…
Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha..?

Ajab Naseeb Tha “Mohsin” Ke Baad-e-Marg Mujhe,
Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha…!!!**

Re: Array Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha........

Array Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha........
Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hi Na Chalna Tha.....