Armaan

waqat ke saath badalta nahi koi lakin
waqat halaat badal deta hai insano ke

qissae gham to sabhi aaik nazar aate hain
dard unwaan badal deta hai afsaano ke

ishq kamzor nahi hum ko he dar hai gham ka
piyar to rukh bhi badal deta hai tufaano ke

chahne waale kabhi milke bhi rehtey hain juda
shakh jo jazbaat badal deta hai armano ke

har musafir ko to manzil ke nishaan milte nahi
raastey gham jo badal deta hai kaashaano ke

Re: Armaan

Mashallah … :flower2:

Very Nice as usual :slight_smile: