**salaam dosto,
Arfa ke vaalid ne aaj media ko bataayaa k Arfa ko Urdu Adab bil-umoom aur Iqbaaliyat bil_Khusoos kii kis qadar maddaaH thiiN…Arfa ne apnii muKhtasir sii zindagii meN vo kaamiyaabiyaaN Haasil kiiN jo awwalan ek 'aamii ko naseeb nahiiN hotii aur agar naseeb ho bhii jaayeN to uske liye ik umr-e-daraaz darkaar hotii hai.
Arfa ne apnii zindagii ke aKheer daur meN Iqbal se apnii moHabbat kaa izhaar apnii diary meN kiyaa jo vo aksar nihaayat inhimaak se qalamband kiyaa kartii thiiN…usii diary meN unhoN ne 'allaamah Iqbal kii yeh nazam chaspaaN kii jo unkii zindagii ka lubb-e-lubaab thaa. nazam kaa aaKhirii she’r isii Khayaal kii tarjumaanii kartaa hai.
Allah marHoomah ko jannat ul firdaus meN 'aalaa maqaam aur lawaaHiqeen aur pas_maandagaan ko sabr-e-jameel 'ataa farmaaye…aameen.
faqat Khaak_nashii****N
_______KKF**
Restored attachments:

