Re: Are you grateful for the spouse you have?
**wowwwwwwwwwwwwwww…waah bhi, waah…u to “chhupi rustamah/shaa’ira” nikliiN…hazal ke ash’aar paRh kar yuN k mazaa aa gayaa…kia kahne! baawarchi Khaan na huaa “Hareem e naaz” huaa…lagtaa hai jisse u kii shaadii ho gii usko yeh hii khaanii paRegii:
agarcheh kii roTii, magarcheh kii daal
chunaancheh kii chaTnii baRii mazedaar
na poochh iskii Haqeeqat, Huzoor-e-waalaa ne
mujhe jo bhejii hai besan kii roGhnii roTii
na khaate gehuuN, nikalte na Khuld se baahar
jo khaate Hazrat e aadam yeh besnii roTii
ab aakHir meN meraa bhii ek mazaaHiyah she’r suntii jaaiye:
tum apne Hisse kii thoRii sii biryaanii mujhe de do
haDDiyaN le lo tum, boTii, dilbar jaanii!, mujhe de do!
hahaha…good luck with ur pakwaan :)**