Re: Are we making a big deal?
Good thread Nik
You are right everyone is struggling to do parenting right or perfect.
You know book main aik tareeqa likha hota her buchchay kay liaay ya yoon kahain saray buchhon kay liaay jub kay sub buchchay aik tarha kay naheen hotay na hi unko aik tarha ya tareeqay say pala ja sakta hai.
Kitaab say parh kar aap kuch samajh to hasil kar saktay hain laikin us main apni skills add kar kay her buchchay kay mutabiq ussay tarbiat day saktay hain.
Chahay kitabain parh lain ya apnay parents ya kis ka tajarba use kar lain baharhaal aap nain apnay buchchon kay lihaaz say hi her kisi say deal karna hota hai.
Aik hi parents kay mukhtalife buchchay bilkul mukhtalif shakhshiaat rakhtay hain is liaay unsay deal bhi mukhtalif tareeqonsay karna parta hai.
Agar aap ka buchcha zaheen hai to usko palna utna hi mushkil hai aur agar aap nain ziada laad pyaar main ussay spoil kar dia hai to usko sambhaalna bhi utna hi mushkil hai.
What you can do:
Analyze what kind of your kid is.....seedha shareef simple jo kaho maan kar amal karta hai
ya jaldi baat naheen manta aur na hi samjhata hai samjhana aur manwana dono mushkil hai.
Ya bilkul hattay say nikla huway hai kisi tarha qaboo main naheen ata.
Her aik per aik hi formula naheen use ho sakta.
Her aik ki parenting kay liaay alag alag formula use karna paray ga.
Yay aap pay munhasir hai kay aap kis tarha samjhti hain buchchay ko aur kis tarha deal karti hain aur uski tarbiaat kin khutoot pay karti hain.
Books, parents ya dost rishtaydaar say madad lenay main koi muzaiqa naheen laikin apni sikill bhi lagani hoti hai buchchay ko madd e nazar rakhtay huway.
Allah bay bharosay aur dua kay saath apnay techniques bhi use karain.