Aqeedat

Main kitni warftigi se usay suna raha tha

wo sari baatain wo saray qissay
jo us se milnay se paishtar
meri zindagi ki hikayatain thin

**main keh raha tha **
kay aur bhi log thay
jinhain meri aarzo thi meri talab thi
kay jin se mohabbaton ka raha ta’aluq
kay jin ki mujh per inayatain thin

**main keh raha tha **
**kay un main kuch ko tu maine **
jaan se aziz janaa
**magar unhin main se baaz ko **
meri be dilli se shikayatain thin
main aik ek baat
aik ek jurm ki kahani
dharaktay dil kaanptay badan se suna raha tha

magar wo pathar bani
mujhay is tarah sunti rahi
kay jaisay meray labon per
kisi muqaddas tareen,saheefay ki ayatain thin !

~Ahmed Faraz~

Re: Aqeedat

Achhi nazam hai. Shamil karney ka shukria.

Re: Aqeedat

buhat aallaa

Re: Aqeedat

thanks qasim, sunny bro

Re: Aqeedat

Buhat hi acchi...!

Re: Aqeedat

:k:

Re: Aqeedat

nice 1
thx 4 sharing :)

Re: Aqeedat

thanks maham ji ,prince ,and berhi_bee ji

Re: Aqeedat

good 1 :)