**Dosto kion na kuch fitrat ki khobsorati (Beauty of Nature) ki baat ki jaye Mosam-e-Bahaar ka aaghaz to Pakistan main March se hi ho chuka hai lekin April ki aik apni hi specialty hai.
April 1872 ke aik din United States main taqreeban 1 million trees plant kiye gaye. (Arbor day: 10, April 1872). waisy to Pakistan main national tree plantation day August main celebrate kia jata hai lekin is silsilay ka aaghaz chuNke April main hoa aur trees/plants fitrat ki khobsorati ki boht umdah misaal hain aur unhay daikh ke dil ko sakoon bhi hasil hota hai.
hum fitrat ki khobsorati se apni mohabbat ka izhaar shayeri ki sorat main is thread main karain ge..
koi bhi sher, ghazal, nazm jis main fitrat (nature) ki khobsorati ka zikar ho hum yahan share karain ge..**
To main Aghaaz karti hon…
***dilkash ye nazaray hain meray yaar ki terha
mausam b deewana hai meray pyar ki terha
khiltay hue aik gul ki, khushboo hai chaar soo
phoolon mein tazagi teray rukhsaar ki terha
aaye hai rut bahar ki rango mein hai samaan
gulshan mein gul hain apnay aitebar ki terha
bikhray hue hain rung, chaman mein bahar k
sheereen hai her samaan teray guftaar ki terha
halchal ho jo nadi mein tau paani ka pata de
shaffaaf hai paani teray kirdaar ki terha
sahel pay, samander main ajab sa hai aik sakoot
kitna hai pursakoon teray andaaz ki terha
tum saath ho tau purkashish hai sara zamana
dheemay hain ye lamhay, teri raftaar ki terha
tu paas hai tau kitni sehal zindagi meri
sachchay hain saray pal teray alfaaz ki terha
din kia hai bina raat k aur raat bina din
apna b ta’alug hai yun din raat ki terha***
havaa kii aavaaz**
** Khushk patto.n kii sar_saraahaT se bhar gaii**
** rosh-rosh par fataadaa phuulon ne**
** laakhon nauhe jagaa diye hain**
** siletii shuaayen**
** buland peron par Gul machaate**
** siyaah kauon kii qaafilon se atii huii hain**
** har ek jaanib khizaan ke qaasid lapak rahe hain**
** har ek jaanib khizaak kii aavaaz guunjatii hai**
** har ek bastii kashaakash-e-marg-o-zindagii se niDhaal hokar**
** musaafiron ko pukaaratii hai ki aao**
** mujh ko Khizaan ke bemahar**
** talkh ehasaas se bachaao
FASLAY bahar K atay ATAY kitnay GAREBAN chak HUAY
:@: :hinaa :sid:
KITNAY al-har SAPNAY thay JO douray SAHAR mi tut GAEY
KITNAY hans mukh CHAHRAY thay JO faslay baharan MI ghamkhak HUAY
:sheen~~~~~~~:rose:
** CHAMAN KAY RANGO BU NAY esqadar dhokay diay mujko
** k zoqay gul bose mi may nay kanton par ZABAN RAKH DI
**
*~~~~~~~~~~~~~~~*
**
bahaar aaii to jaise ek baar
** laut aaye hain phir adam se**
** vo Khvaab saare, shabaab saare**
** jo tere honthon pe mar mite thay**
** jo mit ke har baar phir jiiye thay**
** nikhar gaye hain gulaab saare**
** jo terii yaadon se mushkbuu hain**
** jo tere ushshaaq kaa lahuu hain**