GS k un tamam guppies k Naam ji ka kabhi bhi meri wajha say thora sa bhi dil dukha
i really apologize for it…
Ye such hay k hum say khasta tan
Dukhoon ki dhoop main saya nahi kartay
humari muskurahat main zaher hota hay
humaray lab hamisha tanz k nashtar chalatay hain
magar hum apnay piyaaron ko kabhi be-khudi main
Koi aisi baat keh dain
K wo afsurda ho kar roo parain
To sun lo !
Hum Bhi Chain Say Soya Nahi Kartay
nakhan dear... To ask for Apologize is good thing :) Hum sab jaanay ya anjaanay kisi na kisi a dil hurt kartay rehtay haiN .... Allah tum ko Khush Rakhay (ameen)
Saroo and **PK **bhai logon main kaheen nahi jaa raha hoon
Kuch aisi baat hay k Eid say pehlay main every year zaroor
sub say maafi maang laita hoon, taa k agar kisi ko mujh say
koi shikayat ho to wo ya to mujhay maaf kar day ya hissab
bara bar kar lay
warna Us ka hisaab to mujhay daina hi hay is jahan main na
sahi Us jahan main, aur bohot behtar hay yahan hisab ho jay.
Rahi emotional ki baat to bhai kiya Qaid say rehai k waqat waaqai emotional
ho jatay hain? i have no experience, thanks for sharing ur experience:D