apni zindagi k har shaam teray naam kar doon

apni zindagi k har shaam teray naam kar doon
teri h ankhoon ka jaam teray naam kar doon

main doob jaoon teri in jheel c gehri ankhoon main
phir apni barbadi ka ilzaam teray naam kar doon

main apni rooh ko teray wajood main bhar doon
phir apni zaat apna har payaam teray naam kar doon

tu mujhay muhabbat ka agaaz day sanam
main apnay pyaar ka anjaam teray naam kar doon

muhabbatoon k qaseeday likhoon teri sanaa main
hazaroon pyaar k paighaam teray naam kar doon

ho jiss ka zikar muhabbat k har kahani main
aik aisa pyaar ka paighaam teray naam kar doon

Re: apni zindagi k har shaam teray naam kar doon

Just a thought…is nick ke peechey kya idea tha bhai sahab? :slight_smile:

Re: apni zindagi k har shaam teray naam kar doon

Nice sharing Kaka jee............
:)

Re: apni zindagi k har shaam teray naam kar doon

thx amal n Sonia jee....

Re: apni zindagi k har shaam teray naam kar doon

very nice nikkay jee :D