Apni yaadein apni baatein lekar jana bhool gaya

Apni yaadein apni baatein lekar jana bhool gaya
jane wala jaldi mai tha mil k jana bhool gaya

Waqt-e-rukhsat meri Ankhein ponch raha tha hathon se
Usko gham tha itna ziada khud wo rona bhool gaya

Waqt k behtay dharey mai ye kaise gaflat maine ki
Main bhi kehna bhool gaya,wo bhi rukna bhool gaya…

Re: Apni yaadein apni baatein lekar jana bhool gaya

:teary1:

Re: Apni yaadein apni baatein lekar jana bhool gaya

good one