apni ruswayi tery naam ka charcha dekhun
ek zara sher kahu’n aur main kya kya daikhun
neend a jaye to kya mahfilain bharpa daikhun
ankh khul jaye to tanhayi ka sahara dekhun
sham bhi ho gyi dhundhula gayi ankhain meri
bhoolny waly main kub tak tera rasta dekhun
sub zid’ain main uski poori karun, her baat sunon
ik bachy ki tarah main usy hansta daikhun
mujh par cha jaye wo barsaat ki khushbo ki tarah
ang ang apna usi rut mein mahkatq daikhun
tu meri tarah sy yakkta hai magar mery habib
jee mein ata hai koi aur bhi tujh sa daikhun
main ny jis lamhy ko pooja hai usy bus ek baar
khwab bun kar teri ankhun mein utarta daikhun
tu mera kuch nahi lagta hai magar Jaan E Hayaat
Jaany kyun tery liye dil ko dharakta daikhun