**Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana
**
**Saink’roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke
Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana**
**Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai
Muhjey Insaan Samja Khud Ko Farishta Na Bana**
**Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey
Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana
**
**Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon
Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana**
**Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain
Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana**