**Apni Manzil Kay Liya
Main nay socha tha tri zulf k saw`ay mujh ko
rah-e-hasti ki musafat mein sahara dyn gay
Teray rukhsar ki gulrang damak
na umeedi k andheron say bachaay gi mujhay Main nay socha tha tra piyar mray jiwan mein phool aashaon k mehkaay ga
Jin ki anmol mehek
rooh ban kar mray ehsas mein bas jayay gi
kamyabi mray qadmon ki blaen legi
shadmani mra hr naqsh e qadm choomay gi
Mri qismat k mra khawab adhoora hi raha
kachchay dhagay ki tarah toot gaya ahd-e-wafa
Umr bhar k liya ek dagh raha sinay mein
kitnay anjan andheron nay mujhay gher liya
Rahzan toot paray loot liya zad-e-safar
main nay socha k unhen jan-e-hazin bhi dydon
ek bekaar sa, ye baar-e-giran
lay k kahan jaon ga**