apni jaga

***Tera Gham Apni Jaga Duniya Ke Gham Apni Jaga
Phir Bhi Apne Ehad Per Qaaim Hum Apni Jaga



Kia Karain Ye Dil Kisi Ki Na-Sihaa Sunta Hee Nahi
Aap Ne Jo Kuch Kahaa Ay Mohatram, Apni Jaga***


Hum Mohad Hain Buuton Ke Poojnay Waalay Nahi
Per Khuda Lagti Kaheen Tou Wo Sanam Apni Jaga***


Yaar-e-BeParwaa ! Kubhi Hum Ne Koi Shikwaa Kia ?
Haan Magar In Na-Sapaas Aankhon Ka Nam Apni Jaga



Mehfil-e-Jaanan Ho, Maqtal Ho Ke Maikhaana Faraz
Jis Jaga Jaayein Banaa Laitay Hain Hum Apni Jaga***

Re: apni jaga

wah zabardast

Re: apni jaga

***Hum Mohad Hain Buuton Ke Poojnay Waalay Nahi
Per Khuda Lagti Kaheen Tou Wo Sanam Apni Jaga


Kia ye khulla tazaad nahin :hmmm: