Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

Kabhi Ghar Say Nikal Kar Tum Nay

Sarma Ki Thatherti Chaandni Shab Main

Akelay Chaand Ko Dekha Hay ?
Kabhi Sunsaan Baaghon Main Kesi Tanha Rawish Per Chaltay Chaltay, Chaand Say Pucha

Keh Wo Tum Say Ziada Muztarib Kyun Hay ?
Mager Tum !
Band Kamray Kay Makeen
Khowabon Kay Shezaday !
Nikal Kar Garam Kamray Say
Kaha Jao Gaye Aadhi Raat Ko Sunsaan Baaghon Main ?

Akelay Chaand Say Baatain Tu Wo Mazloom Kartay HainJinhain Ghar
Kay Dar o Deewaar BhiDhatkaar Detay HainJinhain Apni Hi Aawazon Kay Khanjar Maar Detay Hain

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

sunsaan raton main bagh main ja kar ya to mobile snatch ho jae ga ya phir police ka jaib garam karne ki nobat :hehe:

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

nice

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

:cb:

yeh dramas aur filmen kitna banday ka damagh kharaab karti hain. hum akele saahil kinaare / phoolon sirhaane ghoom ghoom ke thak gaye, koi notice karne wala hi nahi. novels main tu almost always koi na koi dekh ke lattoo ho jata hai :naraz:

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

yeh bagh kya karachi mein hai

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

aap zara Karachi main Tariq Road ka chakar lagaiye ga… aap ko novels pe yaqeen aa jae ga

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

haey re hasrat

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

police to poore Pakistan ki kaam-chor aur ****** khor hai

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

yeh to hai

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

:rotfl:a girl’s gotta dream!

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

boht hi khatanaak dream hai

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

kyun, maine mqm ya taliban ka naam tu nai liya.

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

MQM iss tarah ki activity promote nahin karti.. unke haan sab Baji hain.... sab bhai hain... aur Taliban to iss kaam ko (ladies ka bahir nikalna) khilaf e shariyat samajhte hain....

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

aap ki yeh khawaish un se bhi ziada khatarnaak hai

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

Green+M

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

yeh kya hota hai

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

Hara+M

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

khilaaf-e-shariyat samajhte honge, lekin iska yeh matlab nahi ke woh kisi raah bhuli hui ko rasta dikhaane ke qaayal nahin. dil tu sab ke pass hota hai.

MQM walon ka kabhi koi love affair nahi raha kisi ke saath?

I would think jo log duniya ke saath laraaka mizaaj hote hain, apne ghar main theek hi hote hain, especially agar pasand ki shaadi ho tu.

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

MQM ke Waseem Akhtar ki kuch pics aai thi net pe on his personal trip with wife. You are right that such people are romantic in their personal lives. Altaf Bhai himself remained romantic.. wo to unki qismat kharab thi ke talaq ho gai

Re: Apni Hi Aawazon Kay Khanjar

Meray khayal say... pasand ki shadi ya arrange marriage main farq nahi hota...

shadi kay bad aik hi jaisi zimmedariyan hoti hian... jo pehly kabhi love you hamesah kehtay nahi thakhty thay... shadi kay bad ankhain nateer laitay hian.... aesa mainy bohat dekha hia....