**apni he rawani men behta nazar aata hai
yeh shehar bulandi say darya nazar aata hai
deta hai koi apnay daaman ki hawa isko
shola sa meray dil men jalta nazar aata hai
us haath ka tohfa tha ik daagh meray dil par
wo daagh bhi ab lekin jata nazar aata hai
aankhon kay muqabil hai kesa yeh ajab manzar
sehra to nhi hai lekin sehra nazar aata hai
ik shakal see banti hai her shab meri neendon men
ik phool sa khowaboon men khilta nazar aata hai
aankhon nay nhi dekhi us jism ki ranaie
yeh chaar taraf jis ka saya nazar aata hai
darya ko kinaray say kya dekhtay rehtay ho
ander say kabhi dekho kesa nazar aata hai**