Apni Bay'aaZ se

Re: Apni Bay'aaZ se

Qateel shifaai wrote '' shaairi sach bolti hay'' i want to say somthing about ''shaairi'' shaairi sachey jazbon ka naam hay , jab piyano pe ungiliyan parney sey moseeqi ki dhuhn banti hay ussi tarah jab koi ehsaas dil ko chuh jaaey tou tou wuh lafzon ki surat ikhteyar karta hay jisey shaairi ka naam diya geya hay
buhat sey shu'ara ka kalaam parhnay ka moqa mila lekin yahan sab kuch tou share karna wesey hi hay dariya ko koozey mein sametna... well mein kuch ashaa'r zaroor share karna chhahun gi jo mujhay pasand hein, please hazam kar lijiye loko:~) anyhow here is it....

I love to read Faiz, he inspire me always, i like his all poetry lekin dont worrie guys mein yahan sirf aik sheir likhoon gi baqi kay liye aap log book khareed lain:p

Raat yoon dil mein terii khoi hui terii yaad aai
jaesey weeranay mein chupkey sey bahaar aa jaey
jaesey sehraaoN mein chalay baad-e-naseem

jaesey beemar ko be-wajah qarar aa jaaey

Khoobsurat shaairi mein AIA ka naam na likhoon tou bari gustakhi ho jaaey gi:~) unki shaairi mein aagehi shaoor ka aks milta hayi like his nazms very much lekin aaj mein ghazal ka sher aap sab sey share karna chahti hoon:-)

Ik naam ki uRti khshboo mein ik khawab safar mein rehta hay
ik basti aankhein malti hay ik shehr nazar mein rehta hay
paani mein roz bahaata hay ik shakhs diyey umeedon kay

aur agley din tak phir in kay humrah bhnawar mein rehta hay

Aur ab jis shaair kay kalaam mein say aap ksab say kuch sheir karna chhati hoon uss kay liye sirf itna hi kahoon gi kisi nay kya khoob kaha hay
'' barri mushkil say hota hay chaman mein deedawar paida''
I like his all poetry stuff jitnay achay shaair heiN uss say bhi kahin achay insaan:~) kisi taaruf kay muhtaaj nahi, so guys just read and enjoy

Ye zara zara sii baat par tarhan tarhan kay azaab kyoN
jo kisi sey bhi khafaa na ho mujhay uss Khuda ki talash hay
mujhay dekh kar jo ik nazar merey saarey dard samjh sakay

jo iss qadar ho charah-gar mujhay uss nigaah ki talash hay

Mein usski sookhi huii aankhon pe yaqeen kya karta
mein nay thehrey huwey paani mein bhanwar dekhay heiN


i think mein nay kuch zeyda wada reply likh diya hay i dont want to reply aik aik sheir kar kay:-(
end pe i want to say

Umr bhar likhtey rahey phir bhi warq sada raha
jaanay kya lafz thay jo hum sey tehreer na huwey