Apni bala se

Lai hayat aye qaza le chali chale
Na apni khushi aye na apni khushi chale

Behatar tu hai yahi ke na duniya se dil lage
Par kya karen jo kam na bedillagi chale

Ho umr e khizr bhi tu kahenge bavaqt e marg
Ham kya rahe yahan abhi aye abhi chale

Duniya ne kis ka rah e fana men diya hai sath
Tum bhi chale chalo yun hi jab tak chali chale

Nazan na ho khirad pe jo hona hai wo hi ho
Danish teri na kuch meri danishvari chale

Kam honge is bisat pe ham jaise badqimar
Jo chal ham chale wo nihayat buri chale

Ja ki hava e shauq men hain is chaman se zauq
Apni bala se bad e saba kahin chale

Re: Apni bala se

:lajawab:

Re: Apni bala se

le chali chalen.. kia baat hai.. one of the classics :k: