Apni aankhoon mein ashk na aane daina

**
Agar kabhi…
Mein tum se juda ho jaoon
Tau ay mere dost
Apni in khoobsurat aur ghehri aankhoon mein
Kabhi bhi
Ashk na aane daina… balke tum
Mere bare mein sochna
Us wakt apne dil ke kisi kone mein
Meri yaad ka ek diya jalaana aur
Apni in khoobsurat aur ghehri aankhoon ko band kar ke
Dhemi si muskurahat ke saath
Mera naam pukaarna
Meri wafaoon ko yaad karna
Meri baatoon ko dohraana
Mere tumhare saath guzre un tamaam lamhoon ko sochna
Haan dost
Magar kabhi bhi
Apni aankhoon mein ashk na aane daina
Aur na kabhi meri judai ko rough banaa laina**

Reminded me of someone…just excellent Amarbail :k:

Thanks KhamoshNigahein

Good1...

wow. amazing.

wonderfull....