apney haathoun ki lakiroun mein basa ley muj ko

apney haathoun ki lakiroun mein basa le muj ko
mein houn tera naseeb apna bana ley muj ko

muj se tu puchney aaiya hai wafa ke mani
yeh teri sada dili maar na daley muj ko

mein samandar bhi houn moti bhi houn ghota zan bhi
koi bhi naam mera ley ke bula lay muj ko

tu ne dekha nahin aainey se aagey kuch bhi
khuda parasti mein kaheen tu na ghinwa lay muj ko

kal ki baat or hai mein ab sa rahoun ya na rahoun
jitna ji chahey tera aaj sata ley muj ko

khud ko na baant daloun kaheen daman daman
kar dia tu ne agar merey hawaley muj ko

mein jo kaanta houn to chal muj se daman bacha kar
mein houn agar phool to jurey mein saja le muj ko

bada phir bada hai mein zehar bhi pii jaaaoun QATEEL
sharat yeh hai koi baanhoun mein sama le muj ko

Buhat khoob :k:

apney haathoun ki lakiroun mein basa le muj ko
mein houn tera naseeb apna bana ley muj ko

muj se tu puchney aaiya hai wafa ke mani
yeh teri sada dili maar na daley muj ko

mein samandar bhi houn moti bhi houn ghota zan bhi
koi bhi naam mera ley ke bula lay muj ko

=========================
:k:nice miss nice :wink: