Zindagi se nazar milaao kabhi – Haar k baad muskuraao kahi Tark E ulfat k baad umeed E wafa – Ret par chal saki hai naao kabhi
Ab jafaa ki sarahataiN bekaar – Baat se bhar saka hai ghaao kabhi Shaakh se mauj E gul thami hai kahiN – Baat se bhar sakaa hai ghao kabhi
Andhe zehnon se sochne waalo – Harf meN raushni milaao kabhi
**Barishen kya zamiN k dukh banten – Aansuon se bujhaa alaao kabhi ** Apne Spain ki khabar rakhna – Kashtiyaan tum agar jalaao kabhi..!!!