Hai yahan naam ishq ka lena
apne peeche bala laga lena
Nama e shoq usi ko shoq se likh
ghair ko bhi magar dikha lena
Vasl ki shab na cheR qissa e gham
ye kisi aur din suna lena
Ho idhar bhi kabhi nigah e karam
hum ghareebon ki bhi dua lena
Ghair se dosti karo lekin
pehle kuch roz aazma lena