Apne hathon ki lakeeron main basa le mujhko (Qateel Shifai)

Apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko

Mujhse tu puchne aya hai wafa k maa’ni
ye teri sada dili maar na dale mujhko

                     Main samandar bhi hun moti bhi hun gota zan bhi
                      koi bhi naam mera le k bula le mujhko

Tune dekha nahin aa’ine se aage kuch bhi
khudparasti mein kahin tu na ganwale mujhko

Kal ki baat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aaj sata le mujhko

Khud ko main baant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko

Main jo kanta hun to chal mujh se bacha kar daman
main hun gar phul to joode mein saja le mujhko

Main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko

Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulane wale mujhko

Baadaa to phir baadaa hai main zahar bhi pi jaun “Qateel”
shart ye hai koi bahon mein sanbhale mujhko

Re: Apne hathon ki lakeeron main basa le mujhko (Qateel Shifai)

kaun hai woh?? Nice :k:

Re: Apne hathon ki lakeeron main basa le mujhko (Qateel Shifai)

**zabardast kalaam hai janaab…Musarrat Nazeer kii aawaaz meN aur bhii nikhar gayaa…bahot abhot shukria.

is Ghazal kaa pahlaa misr’a paRhte hii mujhe yeh naGhma yaad aa gayaa…Asha Bhosle kii aawaaz ne kia Khoob jaadoo jagaayaa hai…i LOVE this naghma! :)**

Re: Apne hathon ki lakeeron main basa le mujhko (Qateel Shifai)

Wo ek hai lakhon main, woh rehti hai sapnon main
Usse dekha nahin, usse socha tau hai…

Re: Apne hathon ki lakeeron main basa le mujhko (Qateel Shifai)

miyaaN, aap to gaye kaam se!** :smiley: yeh aise symptoms haiN k banda kahiiN kaa nahiiN rahtaa…****reh-e-aashiqaaN mubaarak baashad! **:cb:

Re: Apne hathon ki lakeeron main basa le mujhko (Qateel Shifai)

lagay raho maqo o bhai kabhi mil hi jaaye gi :chai:

Re: Apne hathon ki lakeeron main basa le mujhko (Qateel Shifai)

^ Aap jaise naik logon ki duaen sath raheen to zaroor mile gi.

Re: Apne hathon ki lakeeron main basa le mujhko (Qateel Shifai)

kabhi na kabhi
kahin na kahin
koi na koi
toh app koh miley gee. :D

Re: Apne hathon ki lakeeron main basa le mujhko (Qateel Shifai)

kabhi na kabhi
kahin na kahin
koi na koi
Mujhe mile gi

Jis ko dekh ke bajenge dil ke taar
saj jae ga pal bhar main sara sansaar