apne badan ki qabr mein kabse gara hun main..

sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hun main
lekin ye sochta hun k ab tera kya hun main?

bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main

main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
apne badan ki qabr mein kabse gara hun main

kis-kiska nam laun zaban par k tere sath
har roz ek shakhs naya dekhta hun main

na jane kis ada se liya tune mera nam
duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main

le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
do char sal umr mein tujhse bara hun main

jaga hua zamir wo aina hai “Qateel”
sone se pahale roz jise dekhta hun main..

Re: apne badan ki qabr mein kabse gara hun main..

zabardast :k:

kaisi ho gkk :slight_smile:

Re: apne badan ki qabr mein kabse gara hun main..

achi ghazal hai.....lakin main pay bohat zoor hai...tu ghazal ka jo tanu(diversity) hota hai...us ki kamyabi nay lazat ko zara kam kar dia hai......but nice one :)

Re: apne badan ki qabr mein kabse gara hun main..

Nice

Re: apne badan ki qabr mein kabse gara hun main..

:bummer:

Re: apne badan ki qabr mein kabse gara hun main..

Nice one :k:

Re: apne badan ki qabr mein kabse gara hun main..

nice :clap:

Re: apne badan ki qabr mein kabse gara hun main..

jaga hua zamir wo aina hai "Qateel"
sone se pahale roz jise dekhta hun main..

loveeeeeee.