weeraana-e-wajood mein chalna para hamein
apnay lahuu ki aag mein jalna para hamein
manzil bohot hi door thi, rastay thay ajnabi
taaron k sath sath, nikalna para hamein
saaya misaal aaey thay us ki gali mein hum
dhalnay lagi jo shaam to dhalna para hamein
hum charhtay soorajon ko salaami na day sakay
so do-peher ki dhoop mein jalna para hamein
tha ibtida se ilm k hai raasta ghalat
or kaaflay k sath bhi chalna para hamein
AMJAD kisi taraf bhi sahaara na tha koi
jab gir gaey to khud hi sanbhalna para hamein
Aqls
2
Re: apnay lahuu ki aag mein jalna para hamein
nice
SJ
3

bohat khoob!:)
Re: apnay lahuu ki aag mein jalna para hamein
v nice :)

:k:

bohut khoob
Re: apnay lahuu ki aag mein jalna para hamein
bohat khoob :k:
pk786
8
Re: apnay lahuu ki aag mein jalna para hamein
tha ibtida se ilm k hai raasta ghalat
or kaaflay k sath bhi chalna para hamein
AMJAD kisi taraf bhi sahaara na tha koi
jab gir gaey to khud hi sanbhalna para hamein
v nice :)
Re: apnay lahuu ki aag mein jalna para hamein
Thanx
Re: apnay lahuu ki aag mein jalna para hamein
zaberdust aabla_pa