Apnay Humrah Mohabbat K Hawalay Rakhna

**Apnay Humrah Mohabbat K Hawalay Rakhna
Kitna Dushwar Hai Ek Rog Ko Pallay Rakhna

Itna Aasaan Nahin Band Gali Main Rehna
Shehar-E-Tareek Main Yadon K Ujalay Rakhna

Hum Ziada K Talab Gar Nahin Hain Laikin
Waqt Kuch Bahr-E-Mulaqat Nikalay Rakhna

Kaam Aain Gay Kisi Roz Tumharay Yeh Gohar
Apnay Aashkon Ko Meri Jaan Sambhalay Rakhna

Jheel Par Jaisey Koi Kali Ghatta Cha Jaye
Neeli Aankhon Pay Ghani Palkhon Ko Dalay Rakhna

Us Ko Ujray Howay Logon Say Hai Ulfat Mohsin
Baal Bikhray Howay, Aur Paon Main Chalay Rakhna…**

Re: Apnay Humrah Mohabbat K Hawalay Rakhna

[QUOTE]
Us Ko Ujray Howay Logon Say Hai Ulfat Mohsin
[/QUOTE]
kyon ?:(

Re: Apnay Humrah Mohabbat K Hawalay Rakhna

Shayad Reham dil hogi.........
us`sy tabah haal logon sy hamdardi karna acha lagta hoga......

Re: Apnay Humrah Mohabbat K Hawalay Rakhna

nothign to be rehem dil abt it…bohot se loog hotey hain jinko hero ya saviour ban ke satisfaction milti hai :hehe:
unmey se hongey…

Re: Apnay Humrah Mohabbat K Hawalay Rakhna

maybe…aisa hi ho

Re: Apnay Humrah Mohabbat K Hawalay Rakhna

**Us Ko Ujray Howay Logon Say Hai Ulfat Mohsin
Baal Bikhray Howay, Aur Paon Main Chalay Rakhna…

:k:

Suna hai rabt hai usko kharab haalon se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hai chashm e naaz uski
so hum bhi uski gali se guzar ke dekhte hain
**